Shamim Hanafi

parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
parchhā.iyoñ kī baat na kar rañg-e-hāl dekh
āñkhoñ se ab havā-o-havas kā ma.aal dekh
do sher jis ke qahr kī jañgal meñ dhuum thī
merī nashist-gāh meñ ab us kī khaal dekh
ḳhushbū kī tarah guuñj uThā harf-e-āgahī
ai dil zarā hisār-e-nafas kā zavāl dekh
tujh se qarīb aa.e to apnī ḳhabar na thī
duurī kā ye azaab ba-rañg-e-visāl dekh
bujhtī huī sadā kī tarah ḳhud meñ Duub jā
pesh-e-nigāh jab bhī tamannā kā jaal dekh
palkoñ meñ tez dhuup kā manzar sameT le
phir kāsa-e-badan meñ lahū kā ubaal dekh
Top Urdushayar.com