sho.ala sho.ala thī havā shīsha-e-shab se pūchho
yā mirā haal marī tāb-e-talab se pūchho
jaane kis moḌ pe in āñkhoñ ne motī kho.e
bastiyāñ diid kī vīrān haiñ kab se pūchho
rāste logoñ ko kis samt liye jaate haiñ
kyā ḳhabar kaun batā pā.egā sab se pūchho
din nikalte hī sitāroñ ke safīne Duube
dil ke bujhne kā sabab mauj-e-tarab se pūchho
vahī din raat vahī ek se lamhoñ kā hisāb
suḳhan āġhāz karūñ umr kā jab se pūchho
ḳhāmushī bhī to sunātī hai fasāne akasr
kis tamāshe meñ huuñ ye bandish-e-lab se pūchho