Jawed Manzar

naghme ko lai sadaf ko guhar ki talash hai

Jawed Manzar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
naġhme ko lai sadaf ko guhar kī talāsh hai
ḳhushbū huuñ mujh ko phuul se ghar kī talāsh hai
jo fikr ko yaqīn kī daulat atā kare
ham ko to aise dast-e-hunar kī talāsh hai
jām-o-subū se hai na hai saaqī se kuchh ġharaz
gulchīñ hai us ko bas gul-e-tar kī talāsh hai
ham haiñ azal se gard-e-rah-e-kārvāñ hameñ
dīvār kī talāsh na dar kī talāsh hai
ābād ik nagar hai hamāre vajūd meñ
'manzar' hameñ bhī ahl-e-nazar kī talāsh hai
Top Urdushayar.com