Shamim Hanafi

har naqsh-e-nawa lauT ke jaane ke liye tha

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
har naqsh-e-navā lauT ke jaane ke liye thā
jo bhuul chukā huuñ vo bhulāne ke liye thā
kuchh bhed zamāne ke bhī mujh par na khule the
kuchh maiñ bhī riyā-kār zamāne ke liye thā
kuchh maiñ ne bhī be-vaj.h hañsī us kī uḌaa.ī
kuchh vo bhī mirī jaan jalāne ke liye thā
kuchh log jazīroñ pe khaḌe the so khaḌe haiñ
sailāb safīnoñ ko bahāne ke liye thā
pyāsā jo na hotā to samundar se na miltā
dariyā jo mirī pyaas bujhāne ke liye thā
girnī hī thī ik roz ye dīvār badan kī
ye raah kā patthar bhī haTāne ke liye thā
sab merī udāsī meñ tujhe DhūñD rahe the
hañsnā bhī mirā tujh ko chhupāne ke liye thā
ik lahr ki bas ḳhaak uḌāne pe ba-zid thī
ik rañg ki palkoñ meñ sajāne ke liye thā
ik lamha-e-ḳhālī kī sadā sab ne sunī thī
ik shor ḳhamoshī ko baḌhāne ke liye thā
ḳhīra haiñ nigāheñ to na kuchh dekh sakeñgī
manzar jo yahāñ thā nazar aane ke liye thā
āp-apnī jasārat se tah-e-āb huā hai
vo Dūbne vaale ko bachāne ke liye thā
Top Urdushayar.com