shaam ke sāhil pe sūraj kā safīna aa lagā
Dūbtī āñkhoñ ko ye manzar bahut achchhā lagā
dard ke patthar sabhī āb-e-ravāñ meñ ghul ga.e
shor thā kitnā magar āñkhoñ ko sannāTā lagā
chār-sū phailī huī mauj-e-nafas kī guuñj thī
mujh ko pyāsī ret kā sahrā bhī ik dariyā lagā
an-ginat saa.e tirī tasvīr meñ Dhalte ga.e
chāñdnī jaagī to har chehra tirā chehra lagā