andhī rāhoñ kī uljhan meñ bechārī ghabrā.ī raat
pahle lahū meñ phir aañsū meñ phir kirnoñ meñ nahā.ī raat
ik parde ko uTh jaanā thā ik chehre ko aanā thā
kitnī hasīñ thī kitnī dilkash sharmā.ī sharmā.ī raat
har shāḳh-e-gul meñ thī ye narmī ġhunche tak gir jaate the
aaj har ik Tahnī patthar hai kaisī āñdhī laa.ī raat
ek karishma ik dhokā thā ek tahayyur-sāzī thī
lekin ik aalam ne ye samjhā ki din se Takrā.ī raat
ek nayā dar ek nayā ghar ek nayā hañgāma hai
ek na.e rahzan ke ghar ik nayā musāfir laa.ī raat