kis qadar ruuh pashemāñ hai tumheñ kyā ma.alūm
kab kahāñ kaun pareshāñ hai tumheñ kyā ma.alūm
mere afkār pe ehsās kā sahrā haavī
aur taḳhayyul meñ gulistāñ hai tumheñ kyā ma.alūm
un ke māhaul pe raqsāñ haiñ bahāreñ naġhme
merā har giit ġham-e-jāñ hai tumheñ kyā ma.alūm
raat bechain hai āñkhoñ meñ simaTne ke liye
tīrgī ziist kā unvāñ hai tumheñ kyā ma.alūm
kal jo thā sañg-e-girāñ shahr-e-vafā meñ 'manzar'
aaj vo la.al-e-badaḳhshāñ hai tumheñ kyā ma.alūm