narm resham sī mulā.em kisī maḳhmal kī tarah
sard rātoñ meñ tirī yaad hai kambal kī tarah
maiñ zamāne se ulajh saktā huuñ us kī ḳhātir
jo sajātā hai mujhe aañkh meñ kājal kī tarah
koī sāgar kahīñ pyāsā jo nazar aa.e to
ham baraste haiñ vahīñ TuuT ke bādal kī tarah
ḳhūb-sūrat thī ye kashmīr kī vaadī jaisī
zindagī tere binā lagtī hai chañmbal kī tarah
shahr kī āb-o-havā ne mire bachche chhīne
maiñ akelā hī rahā gaañv ke pīpal kī tarah