Shams Farrukhabadi

ye ghar jo hamare liye ab dasht-e-junun hai

Shams Farrukhabadi

ye ghar jo hamāre liye ab dasht-e-junūñ hai
ābād bhī rahtā thā kabhī apno ke dam se
sau baar isī tarah maiñ mar mar ke jiyā huuñ
derīna ta.alluq hai mirā maqtal-e-ġham se
ye jiinā bhī kyā jiinā hai sar phoḌnā Thahrā
qismat ko hai jab vāsta patthar ke sanam se
bas itnā ġhanīmat rahe un se ye ta.alluq
ham apne ko badleñ na vo baaz aa.eñ sitam se
āvāz na do 'shams' ko taḌpegā bichāra
āzād to ho jaa.e zarā band-e-alam se
Top Urdushayar.com