na koī apnā ġham hai aur na ab koī ḳhushī apnī
tumhīñ kah do ki ham kaise guzāreñ zindagī apnī
fareb-e-ham-safar hai aur rāh-e-ġham kā sannāTā
munāsib hai ki ḳhud ho ai junūñ ab rahbarī apnī
ujālā mahfiloñ meñ kar ke bhī aañsū hī haath aa.e
na raas aa.ī kabhī ḳhud sham.a ko bhī raushnī apnī
guzārish hai ki ai ma.abūd mujh ko zabt-e-ġham de de
na kar de faash rāz-e-ārzū ko bekasī apnī
taḌap jā.egā har dil shams' kā jab naam aa.egā
numāyāñ yuuñ bhī hogī dāstān-e-ġham kabhī apnī