Shams Farrukhabadi

bichhaDte TuTte rishton ko humne dekha tha

Shams Farrukhabadi

bichhaḌte TūTte rishtoñ ko ham ne dekhā thā
ye vaqt ham pe bhī guzregā ye na sochā thā
namī thī palkoñ pe bhīgā huā sā takiya thā
pata chalā ki koī ḳhvāb ham ne dekhā thā
hamāre zehn meñ ab tak usī kī hai ḳhushbū
tumhāre sehn meñ bele kā ek paudā thā
khurach ke pheñk duuñ kis tarah daaġh yādoñ ke
maiñ bhuul jaatā vo sab kuchh to kitnā achchhā thā
hamāre haal ko dekho nigāh-e-ibrat se
ye baat ham se na pūchho ki kaun kaisā thā
janāb-e-ḳhizr kahāñ aap mujh ko chhoḌeñge
jo saath chhoḌ gayā vo bhī aap jaisā thā
milegā kyuuñ kisī dushman kī āstīñ pe lahū
tumhārā 'shams' nigāh-e-karam kā maarā thā
Top Urdushayar.com