Shams Farrukhabadi

chand taron ne bhi jab raKHt-e-safar khola hai

Shams Farrukhabadi

chāñd tāroñ ne bhī jab raḳht-e-safar kholā hai
ham ne har sub.h ik ummīd pe dar kholā hai
maiñ bhaTaktā rahā saḌkoñ pe tirī bastī meñ
kab kisī ne merī ḳhātir koī ghar kholā hai
ho ga.ī aur bhī rañgīñ tirī yādoñ kī bahār
khilte phūloñ ne mirā zaḳhm-e-jigar kholā hai
un kī palkoñ se gire TuuT ke kuchh tāj-mahal
niind se chauñk ke jab dīda-e-tar kholā hai
yaar merā to muqaddar hai vo chādar jis ne
paañv khole haiñ kabhī aur kabhī sar kholā hai
raat bhārī kaTī shāyad ga.e din lauT aa.e
shams' ne parcham-e-ummīd-e-sahar kholā hai
Top Urdushayar.com