Shams Farrukhabadi

kisi ke wada-e-farda mein gum hai intizar ab bhi

Shams Farrukhabadi

kisī ke vāda-e-fardā meñ gum hai intizār ab bhī
ḳhudā jaane hai kyuuñ ik be-vafā par e.atibār ab bhī
kabhī kī thī tamannā lāla-o-gul kī nigāhoñ ne
rulātī hai lahū ke rañg meñ fasl-e-bahār ab bhī
tire qaul-o-amal meñ farq miltā hai mujhe zāhid
zabāñ par lafz-e-tauba hai nigah meñ hai ḳhumār ab bhī
ḳhizāñ ke ba.ad is ummīd par gulshan nahīñ chhoḌā
ye mumkin hai ki chal jaa.e havā-e-ḳhush-gavār ab bhī
hamāre dil ko jis ne shams' vīrānī ināyat kī
usī ko yaad kartī hai nigāh-e-be-qarār ab bhī
Top Urdushayar.com