mire e'timād ko ġham milā mirī jab kisī pe nazar ga.ī
isī justujū isī karb meñ mirī saarī umr guzar ga.ī
kabhī ban ke ishq kī rāz-dāñ kabhī ho ke aah kī dāstāñ
ka.ī tarah tere huzūr tak mire hāl-e-dil kī ḳhabar ga.ī
mujhe mere haal pe chhoḌ do mire dosto ye karam karo
mirī umr-e-rafta ko do sadā mujhe dard de ke kidhar ga.ī
kabhī mai-kashoñ se ḳhulūs thā tirī chashm-e-shīsha-navāz ko
magar ab ye duur hai sāqiyā ki nazar se qadr-e-bashar ga.ī
mujhe zabt-e-ġham kā na de sabaq zarā apne haal pe kar nazar
mirī uljhanoñ ke ḳhayāl se tirī zulf bhī to bikhar ga.ī
ye to vaqt vaqt kī baat hai koī ro diyā koī hañs diyā
mirī vārdāt-e-dil-o-nazar mirī zindagī pe guzar ga.ī
kise DhūñDte ho nagar nagar kise shahr shahr ho pūchhte
tumheñ shams' jis kī talāsh hai vo nigāh-e-ā.ina gir ga.ī