milī jo dil ko ḳhushī to ḳhushī se ghabrā.e
ham ajnabī kī tarah zindagī se ghabrā.e
vo aur kuchh hai magar kā.enāt-e-hosh nahīñ
ik aadmī hī agar aadmī se ghabrā.e
kabhī kabhī to tirī dostī meñ ham ai dost
ḳhud apne ālam-e-āvārgī se ghabrā.e
jalā liye haiñ usī vaqt āñsuoñ ke charāġh
shab-e-firāq meñ jab tīrgī se ghabrā.e
vahī to bazm se saaqī kī uTh ga.e mahrūm
jo mai-kade meñ kabhī tishnagī se ghabrā.e
fareb-e-gesū-e-pur-ḳham ho yā ho shām-e-hayāt
vo shams kyā ki kisī tīrgī se ghabrā.e