Shams Farrukhabadi

dur faza mein ek parinda khoya hua uDanon mein

Shams Farrukhabadi

duur fazā meñ ek parinda khoyā huā uḌānoñ meñ
us ko kyā mālūm zamīñ par chaḌhe haiñ tiir kamānoñ meñ
phuul toḌ ke log le ga.e ūñche baḌe makānoñ meñ
ab ham kāñTe sajā ke rakkheñ miTTī ke gul-dānoñ meñ
be-dar-o-bām Thikānā jis meñ dhuul dhuup sannāTā ġham
vahī hai mujh vahshī ke ghar meñ jo kuchh hai vīrānoñ meñ
aap ke qadmoñ kī aahaT se shāyad ḳhvāb se jaag uThe
soī huī vīrān udāsī kamroñ meñ dālānoñ meñ
rañj o alam tanhā.ī ke sāthī guzar basar ko kaafī haiñ
ḳhushī to shāmil ho jaatī hai aa.e ga.e mehmānoñ meñ
armāñ saje saje palkoñ par taar taar thī apnī jeb
apne liye to zaḳhm-e-dil the bāzār aur dukānoñ meñ
vaqt ne kaisā ruup diyā jo log nahīñ pahchān sake
kaash ki ḳhud ko dekh bhī sakte jag ke ā.īna-ḳhānoñ meñ
zikr-e-'shams' udaas karegā chhoḌo aur koī baat karo
aise shaḳhs kī kyuuñ tum gintī ginte ho insānoñ meñ
Top Urdushayar.com