kamre kī dīvāroñ par āvezāñ jo tasvīreñ haiñ
ahd-e-guzishta ke ḳhvāboñ kī bikhrī huī tābīreñ haiñ
un ke ḳhat mahfūz haiñ ab tak mere ḳhutūt kī file meñ
qasmeñ vaade ahd o paimāñ pyaar bharī tahrīreñ haiñ
haath kī rekhā dekhne vaale merā haath bhī dekh zarā
bar aa.eñ ummīdeñ jin se aisī kahīñ lakīreñ haiñ
phir ye kis ne apnā kah kar dī hai sadā ik vahshī ko
zindāñ jis ke shor se larzā paañv paḌī zanjīreñ haiñ
'shams' kī hālat kā mat pūchho kuchh din se ye haal huā
har dam tanhā soch meñ baiThe dāman apnā chīreñ haiñ