hujūm-e-ġham se masarrat kashīd karte haiñ
ki ham to zahar se amrit kashīd karte haiñ
unhoñ ne paal rakhe haiñ zamāne-bhar ke ġham
mire lahū se jo ishrat kashīd karte haiñ
hamārī fikr abhī qaid hai zavāhir meñ
ham apne kaam se shohrat kashīd karte haiñ
sadā.eñ ham ne sunī haiñ jo shahr meñ un se
ik ek lafz baġhāvat kashīd karte haiñ
maiñ un ko dekh ke hairat meñ ġharq huuñ 'āsī'
vo mere haal se ibrat kashīd karte haiñ