Mohammad Yaqoob Aasi

wo kaj-kulah jo kabhi sang-bar guzra tha

Mohammad Yaqoob Aasi

Renala Khurd, Punjab, Pakistan

1953
vo kaj-kulah jo kabhī sañg-bār guzrā thā
kal is galī se vahī sogvār guzrā thā
koī charāġh jalā thā na koī dar vā thā
sunā hai raat ga.e shahryār guzrā thā
guhar jab aañkh se Tapkā zamīñ meñ jazb huā
vo ek lamha baḌā bā-vaqār guzrā thā
jo tere shahr ko gulgūñ bahār baḳhsh gayā
qadam qadam ba-sar-e-nok-e-ḳhār guzrā thā
vo jis ke chehre pe lipTā huā tabassum thā
chhupā.e hasrateñ dil meñ hazār guzrā thā
jise maiñ apnī sadā kā javāb samjhā thā
vo ik faqīr thā kar ke pukār guzrā thā
tire baġhair baḌe be-qarār haiñ 'āsī'
tirā vajūd jinheñ nāgavār guzrā thā
Top Urdushayar.com