maiñ hī dīvāna sahī log to farzāne haiñ
kyuuñ haqā.eq meñ milā dete ye afsāne haiñ
ek lamhe ko nigah aur taraf bhaTkī thī
varna ham sirf tirī diid ke dīvāne haiñ
jis ne dekhā na use hosh rahā tan-man kā
terī āñkheñ haiñ ki jaadū haiñ ki mai-ḳhāne haiñ
dil meñ vo kuchh hai ki lafzoñ meñ adā ho na sake
vo samundar to ye TuuTe hue paimāne haiñ
ek vo log ki sahrāoñ ko raunaq baḳhsheñ
ek ham haiñ ki bhare shahr bhī vīrāne haiñ
vo bhī din the jo kiyā kartā thā ḳhud se bāteñ
aaj 'āsī' ke baḌe logoñ se yārāne haiñ