ġham hazāroñ dil-e-hazīñ tanhā
bojh kitne haiñ aur zamīñ tanhā
bas ga.e yaar shahr meñ jā kar
rah ga.e dasht meñ hamīñ tanhā
apne pyāroñ ko yaad kartā hai
aadmī ho agar kahīñ tanhā
terī yādoñ kā ik hujūm bhī hai
aaj kī raat maiñ nahīñ tanhā
vo kisī bazm meñ na aa.egā
gosha-e-dil kā vo makīñ tanhā
kārobār-e-hayāt kā hāsil
ek daulat hī to nahīñ tanhā
dil na ho gar namāz meñ hāzir
hai abas sajda-e-jabīñ tanhā
mere arham kabhī to is dil meñ
ho tirā ḳhauf-e-jāguzīñ tanhā
merā sāmān-e-āḳhirat maulā
chashm-e-nādim kā ik nagīñ tanhā