jaane chalī hai kaisī havā saare shahr meñ
socheñ huiiñ saroñ se judā saare shahr meñ
merī har ek arz hai nā-mo'tabar yahāñ
us kā har ek hukm ravā saare shahr meñ
sargoshiyāñ haiñ aur jhuke sar haiñ ḳhauf hai
sahmī huī hai ḳhalq-e-ḳhudā saare shahr meñ
badlī mirī nigāh ki chehre badal ga.e
koī bhī mo'atabar na rahā saare shahr meñ
pindār qaisarī pe jo zarb ik lagī to phir
kandhoñ pe koī sar na rahā saare shahr meñ
ḳhāmosh ho ga.e haiñ mire saare ham-navā
zinda hai ek merī sadā saare shahr meñ