Mohammad Yaqoob Aasi

apne dushman hazar nikle hain

Mohammad Yaqoob Aasi

Renala Khurd, Punjab, Pakistan

1953
apne dushman hazār nikle haiñ
haañ magar bā-vaqār nikle haiñ
ham bhī kyā bāda-ḳhvār ho jaa.eñ
shaiḳh to bāda-ḳhvār nikle haiñ
ghar kā rasta na mil sakā ham ko
ghar se jo ek baar nikle haiñ
chāñd bin chāñdnī kahāñ hogī
go sitāre hazār nikle haiñ
ḳhūn-e-dil de ke jin ko sīñchā thā
naḳhl sab ḳhār-dār nikle haiñ
band kūche kī dūsrī jānib
rāste be-shumār nikle haiñ
ba.ad ik umr kī ḳhamoshī ke
misre sab zor-dār nikle haiñ
ham to samjhe the mast haiñ 'āsī'
aap bhī hoshiyār nikle haiñ
koī kahtā thā ḳhush haiñ 'āsī-jī'
vo magar dil-figār nikle haiñ
Top Urdushayar.com