aao kuchh zikr-e-rozgār kareñ
daur-e-hāzir ke ġham shumār kareñ
aur bhī bojh haiñ isī sar par
ārzūeñ kahāñ savār kareñ
aap nuqsān sah na pā.eñge
aap dil kā na kārobār kareñ
ham se to be-ruḳhī nahīñ hotī
jo bhī chāheñ hamāre yaar kareñ
ābla-pā payām chhoḌ ga.e
log nazzāra-e-bahār kareñ
hai taqāzā-e-ġhairat-e-imroz
zor-e-bāzū pe inhisār kareñ
kuchh to farmā.iye ki 'āsī-jī'
kyā kareñ kis pe e.atibār kareñ