Amardeep Singh

nafas nafas iztirab sa kuchh

Amardeep Singh

Patiala, Punjab, India

1983
nafas nafas iztirāb sā kuchh
hai zindagī yā azaab sā kuchh
fareb khātī hai pyaas apnī
qadam qadam hai sarāb sā kuchh
na.ī na.ī guftugū kā nashsha
baḌī purānī sharāb sā kuchh
kisī vasīle to raat guzre
na niiñd hai aur na ḳhvāb sā kuchh
haiñ hashm-e-giryāñ ko ġham hazāroñ
chalo kareñ intiḳhāb sā kuchh
in achchhe logoñ meñ vāqa.ī kyā
kahīñ nahīñ hai ḳharāb sā kuchh
varaq varaq paḌh liyā gayā vo
thā jis kā chehra kitāb sā kuchh
ye raah pur-ḳhār kuchh nahīñ jab
chubhā ho dil meñ gulāb sā kuchh
na jaane kyoñ ḳhud aziyyatī se
mujhe nahīñ ijtināb sā kuchh
'amar' vahī shaḳhs dil kā jo hai
zarā sā achchhā ḳharāb sā kuchh
Top Urdushayar.com