Wali Alam Shaheen

jab os bund bund giri saeban se

Wali Alam Shaheen

jab os buuñd buuñd girī sā.ebān se
ḳhushbū sī ik uḌī mire kachche makān se
tū sāhiloñ pe jis kā nishāñ DhūñDhtā phirā
rishta to us ne joḌ liyā bādbān se
nā-qadrī-e-hunar kī mujhe taab hī na thī
maiñ ne ḳhud apnī jins uThā lī dukān se
thī us kī hī lahū kī sadā jo palaT ga.ī
us ne to jhāñk kar bhī na dekhā makān se
bikhrī huī thiiñ chāroñ taraf nā-rasā.iyāñ
vo pāTne chalā thā ḳhalā ko uḌaan se
kyā kyā huiiñ qubūl duā.eñ us ek shab
phir ek phuul bhī na girā āsmān se
garmī meñ Tin kī chhat ne jalāyā kuchh aur bhī
jaaḌe meñ barf sar pe girī sā.ebān se
rezoñ meñ baT gayā huuñ maiñ 'shāhīn' har taraf
pahchān le mujhe mire bikhre nishān se
Top Urdushayar.com