jo abhī merā hai tere sañg honā chāhiye
chāhtā huuñ haath yuuñ bhī tañg honā chāhiye
bas yahī kuchh soch kar dil meñ tire maiñ aa basā
koī is ghar meñ tirā pāsañg honā chāhiye
kab talak ye band kamre aur galī-kūchoñ kā ḳhauf
zindagī meñ koī to āhañg honā chāhiye
pahle phere meñ to duniyā mujh se pīchhe rah ga.ī
pair meñ ab ke mire kuchh lañg honā chāhiye
koī maujoñ se yūñhī aTkheliyāñ karte rahe
aur sāhil par kisī ko tañg honā chāhiye
sañg-dil laḌkoñ se majnūñ ko bachāne ke liye
haath meñ tere bhī lailā sañg honā chāhiye
titliyāñ 'manzar' laḌakpan meñ jo ham ko de ga.iiñ
apne hāthoñ par vahī ab rañg honā chāhiye