maiñ ḳhāmushī ke jazīre meñ ek patthar thā
magar sadāoñ kā relā mirā muqaddar thā
na jaane kaun thā kis ajnabī safar par thā
vo qāfile se alag qāfile ke andar thā
tamām shahr ko us kā pata milā mujh se
vo aa.ine meñ thā par aa.ine se bāhar thā
vo jā rahā thā samundar ko jhelne ke liye
araq araq sar-e-sāhil tamām manzar thā
khulā thā us ke liye qasr kā junūbī dar
magar vahāñ koī andar hī thā na bāhar thā
vo narm ret ke bistar pe jā ke leT gayā
khulī jo aañkh to chāroñ taraf samundar thā
ghirā huā thā vo bad-nāmiyoñ ke haale meñ
hasīñ kuchh aur bhī 'shāhīn' us kā paikar thā