Wali Alam Shaheen

kisi mein tab na thi tohmaten uThane ki

Wali Alam Shaheen

kisī meñ taab na thī tohmateñ uThāne kī
jale charāġh to palkeñ jhukīñ zamāne kī
jise bhī dekhiye apnī anā kā maarā hai
umiid kis se rakhe koī daad paane kī
tirī galī meñ bhī dār-o-rasan kā charchā hai
badal ga.ī hai havā kis qadar zamāne kī
charāġh-e-kushta kī mānind nauha-ḳhvāñ ye log
bane haiñ surḳhī-e-āġhāz kis fasāne kī
larazte hāthoñ meñ sāz-e-shikasta kis ne liyā
ki jaise Duub ga.ī nabz ik zamāne kī
fasāna sharh-talab is qadar na thā lekin
kahāñ kahāñ na uḌī ḳhaak āshiyāne kī
kuchh aur ho ga.e 'shāhīn' zaḳhm-e-dil taaza
vo merī sa.ī-e-pareshāñ unheñ bhulāne kī
Top Urdushayar.com