apne chehre par bhī chup kī raakh mal jā.eñge ham
ab tirī mānind sochā hai badal jā.eñge ham
aag jo ham ne jalā.ī hai tahaffuz ke liye
us ke sho.aloñ kī lapaT meñ ghar ke jal jā.eñge ham
ḳhatm hai ahd-e-zamistāñ dhuup meñ hiddat sī hai
ek anjāne safar par ab nikal jā.eñge ham
zindagī apnī asāsī yā qayāsī jo bhī ho
ḳhvāb ban kar aa.e mānind-e-ġhazal jā.eñge ham
mustaqil ik ruup kab tak is tarah dhāre phireñ
vaqt ke sayyāl paimāne meñ Dhal jā.eñge ham
tū agar be-mantiqī par dil kī hañstā hai to kyā
dil jidhar le jaa.e qassam-e-azal jā.eñge ham
chāñdnī meñ saare dukh tahlīl karne ke liye
ghar hai apnā aaj yā 'shāhīn' kal jā.eñge ham