Wali Alam Shaheen

husn par bojh hue uske hi wade ab to

Wali Alam Shaheen

husn par bojh hue us ke hī va.ade ab to
tark kar ai ġham-e-dil apne irāde ab to
is qadar aam huī shahr meñ ḳhūñ-pairahnī
nazar aate nahīñ be-dāġh libāde ab to
tū Thahartā nahīñ mere liye phir zid kaisī
qaid is ham-safarī kī bhī uThā de ab to
peḌ ne saa.e ke harfoñ meñ likhā thā jis ko
Dūbte chāñd vo tahrīr miTā de ab to
soḳhta lamhe tujhe bār-e-safar hī hoñge
raakh bhī apne ta.alluq kī uḌā de ab to
ishtihār apnā liye phirtā huuñ qarya qarya
kyā hai qīmat mirī ye koī batā de ab to
ḳhud ko pahuñchā.ī hai kyā kyā na aziyyat maiñ ne
koī 'shāhīn' mujhe is kī sazā de ab to
Top Urdushayar.com