har ek samt jab us ko pukārnā Thahrā
vo phir mirī rag-e-jāñ se qarīb kyā Thahrā
fareb-ḳhurda nazar ko fareb duuñ kab tak
vo ek abr thā kyā aayā aur kyā Thahrā
jidhar se jā.iye raste udhar hī jaate the
magar vahāñ se nikalnā to mo.ajiza Thahrā
vo sail thā ki musāfir adam kī raah ga.e
jahāz duur magar ḳhushkiyoñ pe jā Thahrā
jo din ko haath na aayā sarāb kī sūrat
vo shab samet mire kunj-e-ġham meñ aa Thahrā
matā-e-jāñ hai jo us ek ḳhvāb kā hāsil
sulagtī aañkh meñ neze kā zā.iqa Thahrā
ab us ke shahr pe 'shāhīn' har safar hai tamām
ajiib ham-safarī kā mo.āmla Thahrā