Wali Alam Shaheen

safar hai KHatm magar be-ghari na jaegi

Wali Alam Shaheen

safar hai ḳhatm magar be-gharī na jā.egī
hamāre ghar se ye paiġhambarī na jā.egī
nazar gañvā bhī chuke tujh ko dekhne vaale
ufuq ufuq tirī jalva-garī na jā.egī
maiñ apne ḳhvāb tarāshūñ inheñ bikherūñ bhī
mirī sarisht se ye āzarī na jā.egī
hasīñ hai shīsha-o-āhan kā imtizāj magar
tirī siyāsat-e-āhan-garī na jā.egī
maiñ sab ke zaḳhm chunūñ phir unheñ zabāneñ duuñ
balā se dil kī mire abtarī na jā.egī
agarche sard bahut hai dayār-e-qutub-e-shumāl
suḳhan-varoñ kī suḳhan-parvarī na jā.egī
Top Urdushayar.com