Wali Alam Shaheen

apna chhoDa hua ghar yaad aaya

Wali Alam Shaheen

apnā chhoḌā huā ghar yaad aayā
ḳhuld meñ ḳhuld-nazar yaad aayā
kitnī sadiyoñ kī thakan hai jaañ par
ek lamhe kā safar yaad aayā
jis ke saa.e ne jalāyā mujh ko
phir vo sarsabz shajar yaad aayā
haath meñ chāñd kī miTTī le kar
kitne firqoñ kā safar yaad aayā
ham hue apnī nazar meñ jhūTe
us kā paimān-e-nazar yaad aayā
us se ab ḳhvāb kā rishta bhī ġhalat
sar jhaTak de vo agar yaad aayā
kyā na sābit thī mirī ḳhush-hunarī
kyuuñ tirā husn-e-nazar yaad aayā
phir rag-o-pai kī fazā hai bojhal
phir bagūloñ kā safar yaad aayā
muddatoñ jis kī parastish kī thī
phir vo ābād khañDar yaad aayā
the unhī āñkhoñ meñ sapne kitne
apnā āġhāz-e-safar yaad aayā
raat yuuñ ghaas kī ḳhushbū lipTī
niiñd hī aa.ī na ghar yaad aayā
jam ga.e miil ke patthar kī tarah
kyā sar-e-rāhguzar yaad aayā
phir hai 'shāhīn' ġhazal rāz-e-chaman
phir koī soḳhta-par yaad aayā
Top Urdushayar.com