Zahida Kamal

ho gae ambar-fashan donon-jahan mere liye

Zahida Kamal

ho ga.e ambar-fashāñ donoñ-jahāñ mere liye
muskurāyā gulshan-e-kaun-o-makāñ mere liye
kyā huā maiñ ne jo gaa.e naġhma-e-dār-o-rasan
tum ne ḳhud chheḌ thā sāz-e-imtihāñ mere liye
aañkh bhar aa.ī guloñ ke chaak dāmāñ dekh kar
nashtar-e-ġham hai chaman kī dāstāñ mere liye
ye samajh kar apnī barbādī par hañstī huuñ mudām
terī duniyā meñ nahīñ shāyad amaañ mere liye
ham-kanār-e-jalva-e-yazdāñ hai merā dil 'kamāl'
kaif-zā haiñ raat kī tanhā.iyāñ mere liye
Top Urdushayar.com