Ayub Sabir

mata-e-fikr-o-nazar raha hun

Ayub Sabir

Kohat, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1923-1989
matā-e-fikr-o-nazar rahā huuñ
misāl-e-ḳhushbū bikhar rahā huuñ
maiñ zindagānī ke ma.arke meñ
hamesha zer-o-zabar rahā huuñ
shafaq huuñ sūraj huuñ raushnī huuñ
salīb-e-ġham par ubhar rahā huuñ
sajāo raste bichhāo kāñTe
ki pā-barahna guzar rahā huuñ
na zindagī hai na maut hai ye
na jī rahā huuñ na mar rahā huuñ
jo mere andar chhupā huā hai
us aadmī se bhī Dar rahā huuñ
vo mere apne hī ġham the 'sābir'
ki jin se maiñ be-ḳhabar rahā huuñ
Top Urdushayar.com