ye kis maqām pe pahuñchā hai kārvān-e-vafā
hai ek zahar sā phailā huā fazāoñ meñ
nishān-e-rāh kī rakhte to haiñ ḳhabar lekin
zabāñ pe taale haiñ aur beḌiyāñ haiñ paañv meñ
phire haiñ muddatoñ insān kī talāsh meñ ham
vo shahr meñ nazar aaya hameñ na gaañv meñ
sar-e-niyāz bhī apnā kabhī na ḳham hogā
jhalak ġhurūr kī hai aap kī adāoñ meñ
zamīñ se tā-ba-falak har taraf ta.affun hai
guloñ kī bū kā pata kyā chale havāoñ meñ