Shahida Tabassum

sang-zanon ke waste phir nae raston mein hai

Shahida Tabassum

sañg-zanoñ ke vāste phir na.e rāstoñ meñ hai
vahshat-e-jāñ kā mas.ala shīshe ke jañgaloñ meñ hai
utrī thiiñ dasht par kabhī barg-o-samar vo āhaTeñ
qaht-e-sadā-e-dostāñ phir se samā.atoñ meñ hai
jin meñ nihāñ rahā kabhī nik.hat-o-gul kī qurbateñ
had-e-zamīn-o-āsmāñ ab inhī rābtoñ meñ hai
kisī ne zamīñ ke jism se fasl-e-visāl chhīn lī
arsa-e-hashr sā bapā ruuh kī khetiyoñ meñ hai
dil se lahū ke shor tak zaḳhm kā silsila ravāñ
shorish-e-bahr-e-be-karāñ aaj se phir ragoñ meñ hai
ālam-e-be-hijābī-e-jāñ kā samāñ kuchh aur thā
har bun-e-mū kā harf-e-dil yuuñ to khulā laboñ meñ hai
taare se samt bhī alag naav se raah bhī judā
ramz-e-musāfirat chhupā chup ke samundaroñ meñ hai
Top Urdushayar.com