yaad ke shahr mirī jaañ se guzar
qurb ke āḳhirī imkāñ se guzar
jal bujhī thī maiñ tire khilne tak
ab mirī ḳhāk-e-pareshāñ se guzar
aks bunñe lagā sahrā tere
mere sūraj ruḳh-e-tābāñ se guzar
zaḳhm gar mere ho kuchh aur atā
haañ abas nashtar o paikāñ se guzar
uTh chukīñ gul-suḳhanī kī rasmeñ
gosh-e-jāñ harf-e-bahārāñ se guzar
āḳhirī lau na bujhā jaa.e kahīñ
shab-e-jāñ meñ ruke mehmāñ se guzar
ai mire abr mirī miTTī kī
tishnagī par sar-e-mizhgāñ se guzar
aañkh ab tīrgī-e-ġham se bujhī
ashk-e-ḳhūñ jashn-e-charāġhāñ se guzar