Shahida Tabassum

hai shart qimat-e-hunar bhi ab to rabt-e-KHas par

Shahida Tabassum

hai shart qīmat-e-hunar bhī ab to rabt-e-ḳhās par
milegā sañg-e-dād bhī havā ke ruḳh ko dekh kar
kabhī havā kā ajr hai kabhī rutoñ kā hai hunar
kahāñ huā hai aaj tak parind koī mo'tabar
kanār-e-āb ḳhūñ-chakāñ jabīñ to ḳhaak ho chukī
ye kis kā aks pāniyoñ meñ phir uThā rahā hai sar
hazār meñ asiir huuñ tire tilism-e-nutq kī
ye qufl-e-dil kahāñ khulā kalīd-e-harf se magar
havā kā rizq ho chuke ujāle merī raah ke
ki ab ke phir siyāhiyoñ kī samt uTh ga.ī nazar
vo jā.egā to is ke ba.ad dukh hī ghar meñ aa.egā
na jaane kis ummīd par saje hue haiñ bām-o-dar
Top Urdushayar.com