Shahida Tabassum

jangalon mein barishen hain dur tak

Shahida Tabassum

jañgaloñ meñ bārisheñ haiñ duur tak
jism meñ phir vahshateñ haiñ duur tak
rāstoñ meñ chhup ga.iiñ rāteñ kahīñ
ḳhvāb-gah meñ āhaTeñ haiñ duur tak
qurb ke lamhoñ kī hairāñ kokh meñ
kuchh bichhaḌtī sā.ateñ haiñ duur tak
vo kahīñ gum ho kahīñ mil jā.ūñ maiñ
dhund jaisī chāhateñ haiñ duur tak
ghul rahī hai jism meñ tanhā havā
furqatoñ meñ furqateñ haiñ duur tak
zard patte shaam phir bikhrā ga.ī
saañs letī hijrateñ haiñ duur tak
Das ga.ī hai peḌ ko bhīgī havā
shāḳh par nīlāhaTeñ haiñ duur tak
ġharq hote shahr kī jaañ se alag
pāniyoñ par rāhateñ haiñ duur tak
kitnī bāteñ an-kahī sī rah ga.iiñ
nutq-e-jāñ meñ hairateñ haiñ duur tak
Top Urdushayar.com