Niyaz Haidar

hum naghma-sarai kaise karen bedad-garon ki mahfil mein

Niyaz Haidar

ham naġhma-sarā.ī kaise kareñ bedād-garoñ kī mahfil meñ
āñkhoñ se lahū kā raag bahe to jazb ho kis patthar-dil meñ
gulshan pe lapakte kauñde ko bulbul kī sadā se ḳhush karnā
gulshan ke muhāfiz kī hai ḳhushī shāyad barbādi-e-kāmil meñ
tum vaz-e-mohabbat kyā jaano tum ko vo junūñ kyuuñ hāsil ho
mushkil hai bahut hī shart-e-vafā nāhaq na paḌo is mushkil meñ
tannāz hañsī masmūm nazar ye kaisī fazā-e-ulfat hai
dekheñ is daur ke shām-o-sahar kab tak raheñ narġha-e-qātil meñ
Top Urdushayar.com