Jawed Manzar

qismat mein jis ke tha wo gaya is jahan se

Jawed Manzar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
qismat meñ jis ke thā vo gayā is jahān se
ham ko gila nahīñ hai koī āsmān se
ab bhī hai vaqt aao chalo ham nikal chaleñ
dekho dhuāñ sā uThne lagā hai makān se
ye vo parind hai ki nahīñ jis kā āshiyāñ
andāza ho gayā hameñ us kī uḌaan se
phir faisla kareñge mashiyyat hai kis ke saath
tum bhī kabhī to aao utar kar machān se
'manzar' azal se sāhab-e-izzat vahī rahe
jo munharif hue na kabhī ḳhāndān se
Top Urdushayar.com