dil ke vīrāne ko mahfil kī taraf le chaliye
kyuuñ samundar ko na sāhil kī taraf le chaliye
āshnā rāz-e-haqīqat se tabhī hoñge ham
har haqīqat ko jo bātil kī taraf le chaliye
us kī talvār kī tārīf sunūñ maiñ kab tak
pahle mujh ko mire qātil kī taraf le chaliye
maut manzil hai masīhā kī to phir kyā kahnā
zindagī ko usī mahfil kī taraf le chaliye
kaaba o dair ke gumrāhoñ kā anjām hī kyā
yahī behtar hai unheñ dil kī taraf le chaliye
log mushkil ko jab āsānī kī jānib le jaa.eñ
aap āsānī ko mushkil kī taraf le chaliye
sair-e-mahtāb bahut ḳhuub sahī phir bhī 'niyāz'
dil ko mahtāb-e-shamā.il kī taraf le chaliye