Niyaz Haidar

dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut

Niyaz Haidar

dhuup aisī tez dhuup garm hai fazā bahut
mileñge chhāñv DhūñDte barhana-pā ḳhudā bahut
ye raah be-kanār be-panāh ḳhizr kī fuġhāñ
bahut milī thī zindagī magar milī zarā bahut
ḳhizāñ nasīb daur meñ bahār kī tasalliyāñ
magar vo dil jise hai ḳhār-o-ḳhas kā aasrā bahut
unheñ ḳhabar karo ki shām-e-hijr aa rahī hai phir
jinheñ vafā-e-ahd par ġhurūr o naaz thā bahut
fareb-e-ārzū pe aur e'tibār ke liye
uThāo jaam vaqt kam hai vaqt ho chukā bahut
Top Urdushayar.com