vo nigāh-e-chashm-e-tilism-gar mujhe dekhte hī lajā ga.ī
vo adā jo sehr-e-tamām se bhī sivā karishma dikhā ga.ī
yahī jaam partav-e-ruḳh tirā yahī terī zulf ko ā.īna
mah o abrū mai kī hasīñ fazā ise roknā ye fazā ga.ī
vo misāl-e-barq numūd gum-gashtagī tabassum-e-be-amāñ
shafaq-āfrīñ sī vo mauj lab dil o jaañ meñ aag lagā ga.ī
vo siyāh-rañg shamīm-shām-e-visāl kī jo naved hai
is alam-gazīda firāq meñ vahī zulf yaad phir aa ga.ī
shah-e-dilbarāñ tujhe kyā ḳhabar dil-e-rind-e-ḳhāk-nashīñ hai kyā
isī ḳhaak ne use dil kiyā yahī ḳhaak us ko miTā ga.ī
vo sitam-shi.ār sahī magar hai vahī qarār-e-dil-o-nazar
vo rahe to rasm-e-vafā rahe na rahe to rasm-e-vafā ga.ī