lab-e-gul kī hañsī degī na tum ko raushnī apnī
zarā shabnam ke ashkoñ meñ bhī dekhūñ zindagī apnī
hameñ kyā ġham ki ham ik zamzama-pardāz-e-gulshan the
bahāroñ ko huī mahsūs gulshan meñ kamī apnī
mujhe mahfil kī nazroñ se nazar aatā hai mahfil meñ
gavārā ḳhātir-e-rañgīñ ko hai sāda-dilī apnī
mire dil kī taraf ik baar bhejī thī kiran us ne
bhulā dī chāñd ne us raat se tābindagī apnī
jo rahbar kārvāñ ko manziloñ ke naam par luuTe
batā ai ham-safar achchhī nahīñ kyā gumrahī apnī
ye sab jām-o-subū ḳhālī saverā tishna-kāmī kā
ki ab kal ke liye rahne de kuchh sāqī-garī apnī
sharāb o shāhid o shahd-e-tarannum nashsha-e-ishrat
inhī meñ parvarish paatī rahī hai tishnagī apnī
nigah gustāḳh tevar tund kaun aayā sar-e-mahfil
'niyāz' aate hī tere fikr sab ko ho ga.ī apnī