har-samt tāzgī sī jharnoñ kī naġhmagī se kitnī
mushābahat hai saaqī tirī hañsī se
kyā jaane kitne fitne uThte haiñ kaj-ravī se
vo shaḳhs yuuñ ba-zāhir miltā hai sādgī se
aksar ġhazal huī hai kuchh aisī jāñ-kanī se
jaise ġhazāl dekhe sahrā meñ bebasī se
ik mard-e-bā-safā ne likhā lahū se apne
izzat kī maut behtar zillat kī zindagī se
sadiyoñ talak rahī hai tahzīb kī nigahbāñ
patthar tarāshte the kuchh log shā.irī se
ab aadmī bane haiñ ik dūsre ke saa.il
ab aadmī gurezāñ rahtā hai aadmī se
shoḳhī-o-bazla-sanjī doshīzgī vahī hai
ma.asūmiyat ga.ī bas ehsās-e-āgahī se
jab ho ġharaz to maliye varna khiñche se rahiye
ham tañg aa chuke haiñ is shān-e-dilbarī se
'ja.afar'-razā tum ab tak achchhe-bhale the lekin
miTTī ḳharāb kar lī kyuuñ tum ne shā.irī se