kāġhaz pe terā naqsh utārā nahīñ gayā
mujh se koī ḳhayāl sañvārā nahīñ gayā
mil ke lagā hai aaj zamāne Thahar ga.e
tujh se bichhaḌ ke vaqt guzārā nahīñ gayā
tūfān meñ bhī Duub na paa.ī mirī anā
Duubā magar kisī ko pukārā nahīñ gayā
ḳhushiyoñ ke qahqahe haiñ har ik samt gūñjte
lagtā hai koī shahr meñ maarā nahīñ gayā
insān vahshiyoñ kī tarah haiñ ki aaj tak
mafhūm zindagī kā ubhārā nahīñ gayā
ārā.ish-e-jamāl kisī kaam kī nahīñ
rū-e-amal ko jab ki nikhārā nahīñ gayā