ḳhvāb Daste rahe bikharte rahe
karb ke lamhe yuuñ guzarte rahe
kho ga.e yaar ham-safar bichhḌe
dil meñ dukh hijr ke utarte rahe
hai yahī ek ziist kā darmāñ
ashk āñkhoñ ke dil meñ girte rahe
chhā ga.iiñ zulmateñ zamāne meñ
lāshe har samt hī bikharte rahe
laakh ham tujh ko bhūlnā chāheñ
naqsh miT miT ke phir ubharte rahe
dard kī choT dil pe paḌtī rahī
har ghaḌī zaḳhm-e-dil nikharte rahe